aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

justuju jab teri nahin hogi

Ahmad Masood

justuju jab teri nahin hogi

Ahmad Masood

MORE BYAhmad Masood

    justujū jab tirī nahīñ hogī

    merī manzil koī nahīñ hogī

    maiñ huuñ chhoTā to kyā ye lāzim hai

    merī ḳhvāhish baḌī nahīñ hogī

    yuuñ to jugnū bhī haiñ hasīñ lekin

    in se to raushnī nahīñ hogī

    koī chehra khilā nahīñ lagtā

    dil meñ shāyad ḳhushī nahīñ hogī

    ab ke bastī meñ hai jo sannāTā

    ḳhatm ye ḳhāmushī nahīñ hogī

    ab chaleñ dasht ko vahāñ shāyad

    itnī be-raunaqī nahīñ hogī

    ḳhvāb 'mas.ūd' kyā vo dekhegā

    aañkh jis lagī nahīñ hogī

    justuju jab teri nahin hogi

    meri manzil koi nahin hogi

    main hun chhoTa to kya ye lazim hai

    meri KHwahish baDi nahin hogi

    yun to jugnu bhi hain hasin lekin

    in se to raushni nahin hogi

    koi chehra khila nahin lagta

    dil mein shayad KHushi nahin hogi

    ab ke basti mein hai jo sannaTa

    KHatm ye KHamushi nahin hogi

    ab chalen dasht ko wahan shayad

    itni be-raunaqi nahin hogi

    KHwab 'masud' kya wo dekhega

    aankh jis ki lagi nahin hogi

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 197)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now