Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

Momin Khan Momin

jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    juuñ nik.hat-e-gul jumbish hai nikal jaanā

    ai bād-e-sabā merī karvaT to badal jaanā

    pā-laġhz-e-mohabbat se mushkil hai sañbhal jaanā

    us ruḳh safā.ī par is dil phisal jaanā

    siine meñ jo dil taḌpā dhar to diyā dekhā

    phir bhuul gayā kaisā maiñ haath phal jaanā

    itnā to na ghabrāo rāhat yahīñ farmāo

    ghar meñ mire rah jaao aaj aur bhī kal jaanā

    ai dil vo jo yaañ aayā kyā kyā hameñ tarsāyā

    ne kahīñ sikhlāyā qaabū se nikal jaanā

    kyā aise se da.avā ho mahshar meñ ki maiñ ne to

    nazzāra-e-qātil ko ehsān-e-ajal jaanā

    hai zulm karam jitnā thā farq paḌā kitnā

    mushkil hai mizāj itnā ik baar badal jaanā

    hūroñ sanā-ḳhvānī vaa.iz yuuñ kab maanī

    le aa ki hai nādānī bātoñ meñ bahal jaanā

    ishq un balā jaane āshiq hoñ to pahchāne

    lo mujh ko atibbā ne saude ḳhalal jaanā

    kyā bāteñ banātā hai vo jaan jalātā hai

    paanī meñ dikhātā hai kāfūr jal jaanā

    matlab hai ki vaslat meñ hai bul-havas aafat meñ

    is garmi-e-sohbat meñ ai dil na pighal jaanā

    dam lene tāqat hai bīmār-e-mohabbat hai

    itnā bhī ġhanīmat hai 'momin' sambhal jaanā

    jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

    ai baad-e-saba meri karwaT to badal jaana

    pa-laghz-e-mohabbat se mushkil hai sanbhal jaana

    us ruKH ki safai par is dil ka phisal jaana

    sine mein jo dil taDpa dhar hi to diya dekha

    phir bhul gaya kaisa main hath ka phal jaana

    itna to na ghabrao rahat yahin farmao

    ghar mein mere rah jao aaj aur bhi kal jaana

    ai dil wo jo yan aaya kya kya hamein tarsaya

    tu ne kahin sikhlaya qabu se nikal jaana

    kya aise se dawa ho mahshar mein ki main ne to

    nazzara-e-qatil ko ehsan-e-ajal jaana

    hai zulm karam jitna tha farq paDa kitna

    mushkil hai mizaj itna ek bar badal jaana

    huron ki sana-KHwani waiz yun hi kab mani

    le aa ki hai nadani baaton mein bahal jaana

    ishq un ki bala jaane aashiq hon to pahchane

    lo mujh ko atibba ne saude ka KHalal jaana

    kya baaten banata hai wo jaan jalata hai

    pani mein dikhata hai kafur ka jal jaana

    matlab hai ki waslat mein hai bul-hawas aafat mein

    is garmi-e-sohbat mein ai dil na pighal jaana

    dam lene ki taqat hai bimar-e-mohabbat hai

    itna bhi ghanimat hai 'momin' ka sambhal jaana

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now