Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaghaz ki paleTon mein khane ka taqaza hai

Khalid Irfan

kaghaz ki paleTon mein khane ka taqaza hai

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    kāġhaz paleToñ meñ khāne taqāza hai

    hālāt ke shāne pe culture janāza hai

    milne guzārish par mub.ham javāb aayā

    chūñki hai chunāñche hai garche hai lihāzā hai

    ab ghar ke darīche meñ aa.egī havā kaise

    aage bhī plaza hai pīchhe bhī plāzā hai

    tum aqd-e-musalsal se daadā ko nahīñ roko

    shādī zarūrat to fitrat taqāzā hai

    daulat zarā bhī izzat se nahīñ rishta

    allāh ne leader ko daulat se navāzā hai

    me.ayār-e-imārat se sheroñ ko nahīñ naapo

    roTī mirī baasī hai lahja mirā taaza hai

    kaghaz ki paleTon mein khane ka taqaza hai

    haalat ke shane pe culture ka janaza hai

    milne ki guzarish par mubham sa jawab aaya

    chunki hai chunanche hai garche hai lihaza hai

    ab ghar ke dariche mein aaegi hawa kaise

    aage bhi plaza hai pichhe bhi plaza hai

    tum aqd-e-musalsal se dada ko nahin roko

    shadi ki zarurat to fitrat ka taqaza hai

    daulat ka zara sa bhi izzat se nahin rishta

    allah ne leader ko daulat se nawaza hai

    meayar-e-imarat se sheron ko nahin napo

    roTi meri basi hai lahja mera taza hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now