aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya

Anand Narayan Mulla

kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    kaam ishq-e-be-savāl aa gayā

    ḳhud-ba-ḳhud us ko ḳhayāl aa gayā

    ne pherī laakh narmī se nazar

    dil ke ā.īne meñ baal aa gayā

    do mirī gustāḳh nazroñ ko sazā

    phir vo nā-gufta savāl aa gayā

    zindagī se laḌ na paayā josh-e-dil

    rafta rafta e'tidāl aa gayā

    husn ḳhalvat meñ darrātā huā

    ishq dekho majāl aa gayā

    ġham bhī hai ik parda-e-iz.hār-e-shauq

    chhup ke aañsū meñ savāl aa gayā

    vo ufuq par aa gayā mehr-e-shabāb

    zindagī māh-o-sāl aa gayā

    be-ḳhudī meñ kah chalā thā rāz-e-dil

    vo to kahiye kuchh ḳhayāl aa gayā

    ham na kar paa.e ḳhatā buzdil zamīr

    le ke tasvīr-e-ma.āl aa gayā

    ibtidā-e-ishq ko samjhe the khel

    marne jiine savāl aa gayā

    laakh chāhā ham na leñ ġham asar

    ruḳh pe ik rañg-e-malāl aa gayā

    bach ke jāoge kahāñ 'mullā' koī

    haath meñ le kar gulāl aa gayā

    kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya

    KHud-ba-KHud us ko KHayal aa hi gaya

    tu ne pheri lakh narmi se nazar

    dil ke aaine mein baal aa hi gaya

    do meri gustaKH nazron ko saza

    phir wo na-gufta sawal aa hi gaya

    zindagi se laD na paya josh-e-dil

    rafta rafta e'tidal aa hi gaya

    husn ki KHalwat mein darraata hua

    ishq ki dekho majal aa hi gaya

    gham bhi hai ek parda-e-izhaar-e-shauq

    chhup ke aansu mein sawal aa hi gaya

    wo ufuq par aa gaya mehr-e-shabab

    zindagi ka mah-o-sal aa hi gaya

    be-KHudi mein kah chala tha raaz-e-dil

    wo to kahiye kuchh KHayal aa hi gaya

    hum na kar pae KHata buzdil zamir

    le ke taswir-e-maal aa hi gaya

    ibtida-e-ishq ko samjhe the khel

    marne jine ka sawal aa hi gaya

    lakh chaha hum na len gham ka asar

    ruKH pe ek rang-e-malal aa hi gaya

    bach ke jaoge kahan 'mulla' koi

    hath mein le kar gulal aa hi gaya

    Source:

    Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 137)

    • Author: Anand Narayan Mull a
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-farogh Urdu
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now