kaam kuchh aisa aan paDa hai
kaam kuchh aisā aan paḌā hai
ḳhatre meñ īmān paḌā hai
bhūkā nangā mar rahne ko
saarā hindustān paḌā hai
ik kone meñ ham rahte haiñ
dūsre meñ mehmān paḌā hai
dekheñ kab bāhar aatā hai
dil meñ jo tūfān paḌā hai
kaun se ham allah vaale haiñ
pīchhe kyoñ shaitān paḌā hai
ghar meñ aur to kyā hai apne
le de ke mehmān paḌā hai
'alvī' maiñ ik shā'ir thā jo
barsoñ se be-jān paḌā hai
kaam kuchh aisa aan paDa hai
KHatre mein iman paDa hai
bhuka nanga mar rahne ko
sara hindustan paDa hai
ek kone mein hum rahte hain
dusre mein mehman paDa hai
dekhen kab bahar aata hai
dil mein jo tufan paDa hai
kaun se hum allah wale hain
pichhe kyon shaitan paDa hai
ghar mein aur to kya hai apne
le de ke mehman paDa hai
'alwi' main ek sha'ir tha jo
barson se be-jaan paDa hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 116)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.