Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash main bhul sakun aaj hi chehra tera

Shohrat Bukhari

kash main bhul sakun aaj hi chehra tera

Shohrat Bukhari

MORE BYShohrat Bukhari

    kaash maiñ bhuul sakūñ aaj chehrā terā

    bujhne paa.e na magar ishq sho.ala terā

    koī sūrat koī manzil na rahī yaad mujhe

    haañ agar yaad rahā hai to vo rasta terā

    kahīñ khoyā gayā ho to maiñ DhūñDūñ tujh ko

    sabt hai dil pe mire naqsh-e-kaf-e-pā terā

    maiñ ne chāhā thā parastish hadoñ tak tujh ko

    terī bad-ḳhūī ne dhuñdlā diyā naqsha terā

    paañv gaaḌe rahā barsoñ maiñ daraḳhtoñ tarah

    āḳhir-e-kār bahā le gayā dariyā terā

    maut merī duā karte the aur kahte the dost

    ham se dekhā nahīñ jaatā hai tamāshā terā

    hai koī aisā ki jo us ko batā.e 'shohrat'

    chashma-e-āb-e-baqā mar gayā pyāsā terā

    kash main bhul sakun aaj hi chehra tera

    bujhne pae na magar ishq ka shoala tera

    koi surat koi manzil na rahi yaad mujhe

    han agar yaad raha hai to wo rasta tera

    tu kahin khoya gaya ho to main DhunDun tujh ko

    sabt hai dil pe mere naqsh-e-kaf-e-pa tera

    main ne chaha tha parastish ki hadon tak tujh ko

    teri bad-KHui ne dhundla diya naqsha tera

    panw gaDe raha barson main daraKHton ki tarah

    aaKHir-e-kar baha le gaya dariya tera

    maut ki meri dua karte the aur kahte the dost

    hum se dekha nahin jata hai tamasha tera

    hai koi aisa ki jo us ko batae 'shohrat'

    chashma-e-ab-e-baqa mar gaya pyasa tera

    Source:

    Pakistani Adab-1994 (Pg. 168)

      • Publisher: Academy Adabiyat Pakistan, Islamabad
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now