Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kawishon se aman mile na mile

Tilok Chand Mahroom

kawishon se aman mile na mile

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    kāvishoñ se amaañ mile na mile

    phir tirā āstāñ mile na mile

    ab qafas ko āshiyāñ kahiye

    rāhat-e-āshiyāñ mile na mile

    dil se rahte haiñ mashvare din raat

    ham-suḳhan ham-zabāñ mile na mile

    mahv-e-fariyād ham haiñ aaj ki phir

    fursat-e-yak-fuġhāñ mile na mile

    alam-e-āh sar-buland hai aaj

    kal hamārā nishāñ mile na mile

    to betāb hai magar ai dil

    ho ke vo mehrbāñ mile na mile

    ye ġhazal 'josh' ko sunā 'mahrūm'

    phir koī nukta-dāñ mile na mile

    kawishon se aman mile na mile

    phir tera aastan mile na mile

    ab qafas hi ko aashiyan kahiye

    rahat-e-ashiyan mile na mile

    dil se rahte hain mashware din raat

    ham-suKHan ham-zaban mile na mile

    mahw-e-fariyaad hum hain aaj ki phir

    fursat-e-yak-fughan mile na mile

    alam-e-ah sar-buland hai aaj

    kal hamara nishan mile na mile

    tu to betab hai magar ai dil

    ho ke wo mehrban mile na mile

    ye ghazal 'josh' ko suna 'mahrum'

    phir koi nukta-dan mile na mile

    Source:

    Noquush (Pg. B-333 E-349)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now