kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein

Fahmida Riaz

kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

  kabhī dhanak utartī thī un nigāhoñ meñ

  vo shoḳh rañg bhī dhīme paḌe havāoñ meñ

  maiñ tez-gām chalī rahī thī us samt

  kashish ajiib thī us dasht sadāoñ meñ

  vo ik sadā jo fareb-e-sadā se bhī kam hai

  na Duub jaa.e kahīñ tund-rau havāoñ meñ

  sukūt-e-shām hai aur maiñ huuñ gosh-bar-āvāz

  ki ek va.ade afsūñ hai fazāoñ meñ

  mirī tarah yūñhī gum-karda-rāh chhoḌegī

  tum apnī baañh na denā havā bāñhoñ meñ

  nuqūsh paañv ke likhte haiñ manzil-e-nā-yāft

  mirā safar to hai tahrīr merī rāhoñ meñ

  kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein

  wo shoKH rang bhi dhime paDe hawaon mein

  main tez-gam chali ja rahi thi us ki samt

  kashish ajib thi us dasht ki sadaon mein

  wo ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai

  na Dub jae kahin tund-rau hawaon mein

  sukut-e-sham hai aur main hun gosh-bar-awaz

  ki ek wade ka afsun sa hai fazaon mein

  meri tarah yunhi gum-karda-rah chhoDegi

  tum apni banh na dena hawa ki banhon mein

  nuqush panw ke likhte hain manzil-e-na-yaft

  mera safar to hai tahrir meri rahon mein

  RECITATIONS

  Azra Naqvi

  Azra Naqvi

  Azra Naqvi

  kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein Azra Naqvi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY