Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya

Mushfiq Khwaja

kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya

Mushfiq Khwaja

MORE BYMushfiq Khwaja

    kabhī paiġhām-e-sukūñ terī nazar ne na diyā

    zindagī chhīn is tarah ki marne na diyā

    thī bahār-e-gul-e-jalva ki havā jhoñkā

    jis ne dāman nigah-e-shauq bharne na diyā

    jis ehsās ne marne tamannā ham ko

    usī ehsās ra.anā.ī ne marne na diyā

    jaane kyā qissa-e-ġham thā ki nazar ne terī

    bhūlne bhī na diyā yaad bhī karne na diyā

    umr bhar ek tamannā-e-sukūñ ne ham ko

    dil betābī andāza bhī karne na diyā

    kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya

    zindagi chhin li is tarah ki marne na diya

    thi bahaar-e-gul-e-jalwa ki hawa ka jhonka

    jis ne daman nigah-e-shauq ka bharne na diya

    di jis ehsas ne marne ki tamanna hum ko

    usi ehsas ki ranai ne marne na diya

    jaane kya qissa-e-gham tha ki nazar ne teri

    bhulne bhi na diya yaad bhi karne na diya

    umr bhar ek tamanna-e-sukun ne hum ko

    dil ki betabi ka andaza bhi karne na diya

    Source:

    Abyaat (Pg. 38)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now