aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain

Nushur Wahidi

kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    kabhī sunte haiñ aql-o-hosh aur kam bhī piite haiñ

    kabhī saaqī nazreñ dekh kar paiham bhī piite haiñ

    kahāñ tum dostoñ ke sāmne bhī nahīñ sakte

    kahāñ ham rū-ba-rū-e-nāseh-e-barham bhī piite haiñ

    ḳhizāñ fasl ho roze ke ayyām-e-mubārak hoñ

    tabī.at lahr par aa.ī to be-mausam bhī piite haiñ

    tavāf-e-ka.aba be-kaifiyyat-e-mai ho nahīñ saktā

    milā lete haiñ thoḌī agar zamzam bhī piite haiñ

    kahāñ tauba kaisā ittiqā ahd-e-javānī meñ

    agar samho to aao tum bhī chakhkho ham bhī piite haiñ

    'nushūr' ālūda-e-isyāñ sahī par kaun baaqī hai

    ye bāteñ raaz haiñ qibla-e-ālam bhī piite haiñ

    kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain

    kabhi saqi ki nazren dekh kar paiham bhi pite hain

    kahan tum doston ke samne bhi pi nahin sakte

    kahan hum ru-ba-ru-e-naseh-e-barham bhi pite hain

    KHizan ki fasl ho roze ke ayyam-e-mubarak hon

    tabiat lahr par aai to be-mausam bhi pite hain

    tawaf-e-kaba be-kaifiyyat-e-mai ho nahin sakta

    mila lete hain thoDi si agar zamzam bhi pite hain

    kahan ki tauba kaisa ittiqa ahd-e-jawani mein

    agar samho to aao tum bhi chakhkho hum bhi pite hain

    'nushur' aaluda-e-isyan sahi par kaun baqi hai

    ye baaten raaz ki hain qibla-e-alam bhi pite hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nushur Wahidi

    Nushur Wahidi

    Source:

    Sawad-e-manzil (Pg. 90)

    • Author: Nushoor Wahedi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd, Delhi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now