kahan aapko bhi gawara tha main
kahāñ aap ko bhī gavāra thā maiñ
nahīñ jis ghaḌī tak tumhārā thā maiñ
fanā ho ga.ī mujh meñ ik ḳhānqāh
kabhī ek raushan idāra thā maiñ
nahīñ ab kisī bhī zamīñ ko qubūl
kabhī terī āñkhoñ kā taara thā maiñ
havā ke nagar meñ diye kī bisāt
tire shahr meñ be-sahārā thā maiñ
bahā kar mujhe le ga.ī ik nadī
jise zo'm thā vo kināra thā maiñ
kisī lafz-e-kāmil ko pahuñchā nahīñ
safar-dar-safar isti'āra thā maiñ
miTe yuuñ mirī zaat ke sab nishāñ
ki jaise koī abr-pāra thā maiñ
zamīñ-dar-zamīñ aur falak-dar-falak
zarā sā yuuñ hī kitnā saarā thā maiñ
kahan aap ko bhi gawara tha main
nahin jis ghaDi tak tumhaara tha main
fana ho gai mujh mein ek KHanqah
kabhi ek raushan idara tha main
nahin ab kisi bhi zamin ko qubul
kabhi teri aankhon ka tara tha main
hawa ke nagar mein diye ki bisat
tere shahr mein be-sahaara tha main
baha kar mujhe le gai ek nadi
jise zo'm tha wo kinara tha main
kisi lafz-e-kaamil ko pahuncha nahin
safar-dar-safar isti'ara tha main
miTe yun meri zat ke sab nishan
ki jaise koi abr-para tha main
zamin-dar-zamin aur falak-dar-falak
zara sa yun hi kitna sara tha main
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 47)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.