Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani mein chhoTa sa kirdar hai

Shakeel Jamali

kahani mein chhoTa sa kirdar hai

Shakeel Jamali

MORE BYShakeel Jamali

    kahānī meñ chhoTā kirdār hai

    hamārā magar ek me.aar hai

    ḳhudā tujh ko sunñe taufīq de

    mirī ḳhāmushī merā iz.hār hai

    ye kaise ilāqe meñ ham aa base

    gharoñ se nikalte bāzār hai

    siyāsat ke chehre pe raunaq nahīñ

    ye aurat hamesha bīmār hai

    haqīqat ik shā.iba tak nahīñ

    tumhārī kahānī mazedār hai

    ta.alluq taj.hīz-o-takfīn kar

    vo dāman chhuḌāne ko tayyār hai

    paḌosī paḌosī se hai be-ḳhabar

    magar sab ke hāthoñ meñ aḳhbār hai

    ye chhuTTī din ham se mat chhīnnā

    yahī ham ġharīboñ tyauhār hai

    use mashvaroñ zarūrat nahīñ

    vo tum se ziyāda samajhdār hai

    kahani mein chhoTa sa kirdar hai

    hamara magar ek mear hai

    KHuda tujh ko sunne ki taufiq de

    meri KHamushi mera izhaar hai

    ye kaise ilaqe mein hum aa base

    gharon se nikalte hi bazar hai

    siyasat ke chehre pe raunaq nahin

    ye aurat hamesha ki bimar hai

    haqiqat ka ek shaiba tak nahin

    tumhaari kahani mazedar hai

    talluq ki tajhiz-o-takfin kar

    wo daman chhuDane ko tayyar hai

    paDosi paDosi se hai be-KHabar

    magar sab ke hathon mein aKHbar hai

    ye chhuTTi ka din hum se mat chhinna

    yahi hum gharibon ka tyauhaar hai

    use mashwaron ki zarurat nahin

    wo tum se ziyaada samajhdar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now