Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahaniyan na KHatm hongi iKHtitamiyon ke sath

Rakhshanda Naved

kahaniyan na KHatm hongi iKHtitamiyon ke sath

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    kahāniyāñ na ḳhatm hoñgī iḳhtitāmiyoñ ke saath

    mujhe qubūl kar mirī tamām ḳhāmiyoñ ke saath

    apne husn-o-nāz ke ġhurūr meñ jal bujhī

    vo luuT le gayā hai bazm apnī ḳhush-kalāmiyoñ ke saath

    kisī maqām jabr par shahīd ho ga.ī huuñ meñ

    mujhe bhī dafn kījiyegā sau salāmiyoñ ke saath

    ye kyā huā ki us ke bāvajūd baazī haar

    khaḌī thī meñ to sar uThā.e apne hāmiyoñ ke saath

    jahāñ jahāñ ga.ī huuñ maiñ tumhārā haath thaam kar

    huā idhar udhar ga.ī subuk ḳhirāmiyoñ ke saath

    marī zamīñ tire ta.iiñ ye faisla durust hai

    huā jo haal vo huā bad-intizāmiyoñ ke saath

    ubuur karnā sahl kab hai pul-sirāt-e-ishq

    kanār-e-zīst ham khaḌe haiñ nā-tamāmiyoñ ke saath

    kahaniyan na KHatm hongi iKHtitamiyon ke sath

    mujhe qubul kar meri tamam KHamiyon ke sath

    tu apne husn-o-naz ke ghurur mein hi jal bujhi

    wo luT le gaya hai bazm apni KHush-kalamiyon ke sath

    kisi maqam jabr par shahid ho gai hun mein

    mujhe bhi dafn kijiyega sau salamiyon ke sath

    ye kya hua ki us ke bawajud bazi haar di

    khaDi thi mein to sar uThae apne hamiyon ke sath

    jahan jahan gai hun main tumhaara hath tham kar

    hua idhar udhar gai subuk KHiramiyon ke sath

    mari zamin tere tain ye faisla durust hai

    hua jo haal wo hua bad-intizamiyon ke sath

    ubur karna sahl kab hai pul-siraat-e-ishq ka

    kanar-e-zist hum khaDe hain na-tamamiyon ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now