Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin gireban koi chaak hone wala hai

Javed Shaheen

kahin gireban koi chaak hone wala hai

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    kahīñ girebāñ koī chaak hone vaalā hai

    ye hādsa sar-e-aflāk hone vaalā hai

    pahuñch rahā huuñ kisī bhed ke bahut nazdīk

    ki jaise apnā idrāk hone vaalā hai

    utarne vaalī hai ab os din ke jaane par

    añdherā shaam namnāk hone vaalā hai

    hai sard itnā makāñ ab baar jaaḌe meñ

    badan bhī aag ḳhāshāk hone vaalā hai

    kuchh aa rahā hai asar mai us bātoñ meñ

    ye lag rahā hai vo be-bāk hone vaalā hai

    ba-ġhaur dekh rahā huuñ maiñ us tarz-e-amal

    vo kār-e-ishq meñ chālāk hone vaalā hai

    maiñ aap apnī ḳharābī huuñ sabab 'shāhīñ'

    jo ḳhud banāyā thā ab ḳhaak hone vaalā hai

    kahin gireban koi chaak hone wala hai

    ye hadsa sar-e-aflak hone wala hai

    pahunch raha hun kisi bhed ke bahut nazdik

    ki jaise apna hi idrak hone wala hai

    utarne wali hai ab os din ke jaane par

    andhera sham ka namnak hone wala hai

    hai sard itna makan ab ki bar jaDe mein

    badan bhi aag ka KHashak hone wala hai

    kuchh aa raha hai asar mai ka us ki baaton mein

    ye lag raha hai wo be-bak hone wala hai

    ba-ghaur dekh raha hun main us ka tarz-e-amal

    wo kar-e-ishq mein chaalak hone wala hai

    main aap apni KHarabi ka hun sabab 'shahin'

    jo KHud banaya tha ab KHak hone wala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now