Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin jo dil na lagawen to phir udas phiren

Meer Hasan

kahin jo dil na lagawen to phir udas phiren

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    kahīñ jo dil na lagāveñ to phir udaas phireñ

    vagar lagāveñ to mushkil ki be-havās phireñ

    hameñ bhī hove ijāzat ki sham.a-rū tujh par

    patañg namat ik dam ās-pās phireñ

    tirī galī meñ bhalā itnī to hameñ ho raah

    ki jab tak apnā vahāñ ho be-hirās phireñ

    uThā de ham se jo baiThe ho.uuñ ko ab falak

    to aarzū hai ye meñ ki be-qayās phireñ

    na ḳhat kisī paḌhe hai 'hasan' na vo arzī

    kahāñ talak liye ham apnā iltimās phireñ

    kahin jo dil na lagawen to phir udas phiren

    wagar lagawen to mushkil ki be-hawas phiren

    hamein bhi howe ijazat ki shama-ru tujh par

    patang ki namat ek dam tu aas-pas phiren

    teri gali mein bhala itni to hamein ho rah

    ki jab tak apna wahan ji ho be-hiras phiren

    uTha de hum se jo baiThe houn ko ab ki falak

    to aarzu hai ye ji mein ki be-qayas phiren

    na KHat kisi ka paDhe hai 'hasan' na wo arzi

    kahan talak liye hum apna iltimas phiren

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 73)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now