Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte hain log yar ka abru phaDak gaya

Sauda Mohammad Rafi

kahte hain log yar ka abru phaDak gaya

Sauda Mohammad Rafi

MORE BYSauda Mohammad Rafi

    kahte haiñ log yaar abrū phaḌak gayā

    teġhā kuchh nazar meñ hamārī saḌak gayā

    maiñ kyā karūñ adā-e-ġhazab-nāk bayāñ

    bijlī mere sāmne aa kar kaḌak gayā

    naale se mere gul to huā chaak pairahan

    bulbul tirā jigar na ye sun kar taḌak gayā

    koī gayā na ḳhauf se qātil ke sāmne

    maiñ thā us ke rū-ba-rū jo be-dhaḌak gayā

    mushkil paḌegā phir to bujhānā jahān

    jo Tuk ziyāda ishq sho.ala bhaḌak gayā

    'saudā' churā chukā thā gulshan meñ gul ko maiñ

    qismat ko apnī kyā kahūñ pattā khaḌak gayā

    kahte hain log yar ka abru phaDak gaya

    tegha sa kuchh nazar mein hamari saDak gaya

    main kya karun ada-e-ghazab-nak ka bayan

    bijli sa mere samne aa kar kaDak gaya

    nale se mere gul to hua chaak pairahan

    bulbul tera jigar na ye sun kar taDak gaya

    koi gaya na KHauf se qatil ke samne

    main hi tha us ke ru-ba-ru jo be-dhaDak gaya

    mushkil paDega phir to bujhana jahan ka

    jo Tuk ziyaada ishq ka shoala bhaDak gaya

    'sauda' chura chuka hi tha gulshan mein gul ko main

    qismat ko apni kya kahun patta khaDak gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now