Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise kaise bhed chhupe hain pyar bhare iqrar ke pichhe

Qateel Shifai

kaise kaise bhed chhupe hain pyar bhare iqrar ke pichhe

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    kaise kaise bhed chhupe haiñ pyaar bhare iqrār ke pīchhe

    koī patthar taan rahā hai shīshe dīvār ke pīchhe

    dil meñ aag lagā jaatā hai ye bin yaar bahār mausam

    ek tapish bhī hotī hai is ThanDī phuvār ke pīchhe

    soch abhī se phir kyā hogā biit ga.ī jab raat milan

    ek udāsī rah jā.egī paa.el jhankār ke pīchhe

    kaun lagā.e khoj kisī ḳhud-ġharzī ke is jañgal meñ

    miltā hai insān yahāñ bhī lekin ek hazār ke pīchhe

    nañgī ho kar naach rahī hai bhūkī rūhoñ majbūrī

    jhāñk sako to jhāñk ke dekho jismoñ ke ambār ke pīchhe

    ye hākim bhī dost hai merā ye nāseh bhī merā hamdam

    kitne ġham-ḳhvār paḌe haiñ ek tire bīmār ke pīchhe

    terā to ik dil TuuTā hai yaar 'qatīl' udaas na ho

    log to jaañ bhī de dete haiñ pyāre apne yaar ke pīchhe

    kaise kaise bhed chhupe hain pyar bhare iqrar ke pichhe

    koi patthar tan raha hai shishe ki diwar ke pichhe

    dil mein aag laga jata hai ye bin yar bahaar ka mausam

    ek tapish bhi hoti hai is ThanDi si phuwar ke pichhe

    soch abhi se phir kya hoga bit gai jab raat milan ki

    ek udasi rah jaegi pael ki jhankar ke pichhe

    kaun lagae khoj kisi ka KHud-gharzi ke is jangal mein

    milta hai insan yahan bhi lekin ek hazar ke pichhe

    nangi ho kar nach rahi hai bhuki ruhon ki majburi

    jhank sako to jhank ke dekho jismon ke ambar ke pichhe

    ye hakim bhi dost hai mera ye naseh bhi mera hamdam

    kitne hi gham-KHwar paDe hain ek tere bimar ke pichhe

    tera to ek dil TuTa hai yar 'qatil' udas na ho tu

    log to jaan bhi de dete hain pyare apne yar ke pichhe

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 136)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now