Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch

Asrarul Haq Asrar

kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch

Asrarul Haq Asrar

MORE BYAsrarul Haq Asrar

    kaise rafū hoñ chāk-e-garebāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    apne apne dard darmāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    jis ke liye ik umr se lambī kaaTī ham ne kaalī raat

    sub.h vo kyuuñ hai shām-ba-dāmāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    mere lahū se naqsh huī hai merī tasvīr magar

    kis hai ye shauq-e-nigārāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    roz-afzūñ hai merī tamannā aur tirā begāna-pan

    is be-rabt nazm unvāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    zaḳhmoñ ke ḳhūñ-rañg ujāle mujh ko marġhūb sahī

    kaun hai in zaḳhmoñ meñ farozāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    ghar muñDeroñ tak barpā hai dīvālī saarā jashn

    kaise ho andar bhī charāġhāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    dil ne bhī thak-hār ke āḳhir dar-darvāze band kiye

    kaun ho ab is ġham nigahbāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    un ke aage phailā huā thā dast-e-tamannā ai 'asrār'

    ki tah-e-ḳhanjar thī rag-e-jāñ maiñ bhī sochūñ bhī soch

    kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch

    apne apne dard ka darman main bhi sochun tu bhi soch

    jis ke liye ek umr se lambi kaTi hum ne kali raat

    subh wo kyun hai sham-ba-daman main bhi sochun tu bhi soch

    mere lahu se naqsh hui hai meri hi taswir magar

    kis ka hai ye shauq-e-nigaran main bhi sochun tu bhi soch

    roz-afzun hai meri tamanna aur tera begana-pan

    is be-rabt si nazm ka unwan main bhi sochun tu bhi soch

    zaKHmon ke KHun-rang ujale mujh ko hi marghub sahi

    kaun hai in zaKHmon mein farozan main bhi sochun tu bhi soch

    ghar ki munDeron tak barpa hai diwali ka sara jashn

    kaise ho andar bhi charaghan main bhi sochun tu bhi soch

    dil ne bhi thak-haar ke aaKHir dar-darwaze band kiye

    kaun ho ab is gham ka nigahban main bhi sochun tu bhi soch

    un ke aage phaila hua tha dast-e-tamanna ai 'asrar'

    ya ki tah-e-KHanjar thi rag-e-jaan main bhi sochun tu bhi soch

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now