Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaman saunp ke dushman ko apne lashkar ki

Mohammad Aazam

kaman saunp ke dushman ko apne lashkar ki

Mohammad Aazam

MORE BYMohammad Aazam

    kamān sauñp ke dushman ko apne lashkar

    kahā ki fat.h-o-zafar baat hai muqaddar

    bulāvā laa.ī havā-e-bahisht phir ik baar

    tuyūr jāñch karo apne apne shahpar

    chalo rakh aa.eñ vahāñ ham bhī apne sar gulāb

    sunā hai bahutoñ ne us galī mo.attar

    pata chalā ki vahī hai nisāb se bāhar

    mashaqqatoñ se jo maiñ ne kitāb azbar

    ba-juz havāla-e-sad-zaḳhm-e-be-nishāñ kyā hai

    ik aarzū ki jo dil se nikāl bāhar

    pare hai sūrat-e-ḳhūbāñ talāsh-e-ma.anī se

    mile na aab bhī kholeñ girah jo gauhar

    hai muntazir pas-e-darvāza-fanā shāyad

    jo ek bose meñ chhīne takān din bhar

    kaman saunp ke dushman ko apne lashkar ki

    kaha ki fath-o-zafar baat hai muqaddar ki

    bulawa lai hawa-e-bahisht phir ek bar

    tuyur jaanch karo apne apne shahpar ki

    chalo rakh aaen wahan hum bhi apne sar ka gulab

    suna hai bahuton ne us ki gali moattar ki

    pata chala ki wahi hai nisab se bahar

    mashaqqaton se jo main ne kitab azbar ki

    ba-juz hawala-e-sad-zaKHm-e-be-nishan kya hai

    ek aarzu ki jo dil se nikal bahar ki

    pare hai surat-e-KHuban talash-e-mani se

    mile na aab bhi kholen girah jo gauhar ki

    hai muntazir pas-e-darwaza-fana shayad

    jo ek bose mein chhine takan din bhar ki

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Aazam

    Mohammad Aazam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now