Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karbala ka rasta raushan hua

Naz Qadri

karbala ka rasta raushan hua

Naz Qadri

MORE BYNaz Qadri

    karbalā rāsta raushan huā

    phir lahū ma.arka raushan huā

    kaun thā āḳhir vo jis zaat se

    zindagī zāviya raushan huā

    jazba-e-īsār-o-qurbānī ke naam

    ḳhāk-o-ḳhūñ silsila raushan huā

    baare tujh pe ai furāt-e-be-karāñ

    tishnagī martaba raushan huā

    munhadim hone lagī dīvār-e-jāñ

    jism zulmat-kada raushan huā

    qadġhaneñ jitnī lagā.īñ vaqt ne

    dil-zadoñ hausla raushan huā

    'nāz' āhañg-e-tāza dekhnā

    fikr-o-fan dā.era raushan huā

    karbala ka rasta raushan hua

    phir lahu ka marka raushan hua

    kaun tha aaKHir wo jis ki zat se

    zindagi ka zawiya raushan hua

    jazba-e-isar-o-qurbani ke nam

    KHak-o-KHun ka silsila raushan hua

    bare tujh pe ai furaat-e-be-karan

    tishnagi ka martaba raushan hua

    munhadim hone lagi diwar-e-jaan

    jism ka zulmat-kada raushan hua

    qadghanen jitni lagain waqt ne

    dil-zadon ka hausla raushan hua

    'naz' ka aahang-e-taza dekhna

    fikr-o-fan ka daera raushan hua

    Source:

    Lamhon Ki Sada (Pg. 65)

    • Author: Naaz Qadri
      • Edition: 1997
      • Publisher: Maktaba Sadaf, Muzaffarpur
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now