Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun hai jo na hua bandish-e-gham se aazad

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

kaun hai jo na hua bandish-e-gham se aazad

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

MORE BYHarbans Lal Aneja 'jamaal'

    kaun hai jo na huā bandish-e-ġham se āzād

    juz mire kaun rahā dahr meñ nākām-e-murād

    sauñp duuñ kyuuñ na ba-dāmān-e-talātum kashtī

    kis kab sunte haiñ be-rahm kināre fariyād

    mujh se mat chhīn ye jāgīr-e-ġham-o-ranj nadīm

    hai faqat is se kaunain-e-dil-o-jān ābād

    dil ke gulzār meñ khil uThtī hai dāġhoñ kalī

    jab bhī aatī hai kisī gul-ruḳh-o-gul-fām yaad

    ab na maazī ġham hai na to fardā ḳhushī

    ḳhāna-e-dil ko kiyā tum ne kuchh aisā barbād

    ek lamha bhī masarrat mayassar na huā

    jaane kis vaqt mohabbat rakhī thī buniyād

    ġham ġhalat karne ko aayā thā tire dar pe 'jamāl'

    kyā ḳhabar thī ki nahīñ bhī ġhamoñ se āzād

    kaun hai jo na hua bandish-e-gham se aazad

    juz mere kaun raha dahr mein nakaam-e-murad

    saunp dun kyun na ba-daman-e-talatum kashti

    kis ki kab sunte hain be-rahm kinare fariyaad

    mujh se mat chhin ye jagir-e-gham-o-ranj nadim

    hai faqat is se hi kaunain-e-dil-o-jaan aabaad

    dil ke gulzar mein khil uThti hai daghon ki kali

    jab bhi aati hai kisi gul-ruKH-o-gul-fam ki yaad

    ab na mazi hi ka gham hai na to farda ki KHushi

    KHana-e-dil ko kiya tum ne kuchh aisa barbaad

    ek lamha bhi masarrat ka mayassar na hua

    jaane kis waqt mohabbat ki rakhi thi buniyaad

    gham ghalat karne ko aaya tha tere dar pe 'jamal'

    kya KHabar thi ki nahin tu bhi ghamon se aazad

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 113)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now