Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun hamara dard baTae kaun hamara thame hat

Jameel Malik

kaun hamara dard baTae kaun hamara thame hat

Jameel Malik

MORE BYJameel Malik

    kaun hamārā dard baTā.e kaun hamārā thāme haat

    un ke nagar meñ jagmag-jagmag apne des meñ raat raat

    niile niile ambar par vo chāñd vo kirnoñ barsāt

    ham donoñ kho.e kho.e se haa.e vo mast-manohar ghaat

    gulshan gulshan iThlā.e maiñ sahrā sahrā bhaTkūñ

    dil ye saudā hai varna terā aur merā kyā saat

    sab duniyā-dārī bāteñ dil meñ aur zabāñ par aur

    tujh se pyaar baḌhā kar āḳhir jaan ga.e terī auqāt

    chāhe ab is ko apnāo chāhe naaz se Thukrāo

    aaj se apnā daḳhl nahīñ hai dil Dor tumhāre haat

    duniyā manshā hai pyāre ham ghuT ghuT kar mar jaa.eñ

    dil dhaḌkan ye kahtī hai ik din badleñge hālāt

    ek anokhī lai se maiñ ne sab ke dil pighlā.e haiñ

    duniyā ko ye vahm ki mere hoñToñ par hai apnī baat

    kaun hamara dard baTae kaun hamara thame hat

    un ke nagar mein jagmag-jagmag apne des mein raat hi raat

    nile nile ambar par wo chand wo kirnon ki barsat

    hum donon khoe khoe se hae wo mast-manohar ghat

    tu gulshan gulshan iThlae main sahra sahra bhaTkun

    dil ka ye sauda hai warna tera aur mera kya sat

    sab duniya-dari ki baaten dil mein aur zaban par aur

    tujh se pyar baDha kar aaKHir jaan gae teri auqat

    chahe ab is ko apnao chahe naz se Thukrao

    aaj se apna daKHl nahin hai dil ki Dor tumhaare hat

    duniya ka mansha hai pyare hum ghuT ghuT kar mar jaen

    dil ki dhaDkan ye kahti hai ek din badlenge haalat

    ek anokhi lai se main ne sab ke dil pighlae hain

    duniya ko ye wahm ki mere honTon par hai apni baat

    Source:

    Noquush (Pg. B-375 E389)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now