Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun kahe masum hamara bachpan tha

Shariq Kaifi

kaun kahe masum hamara bachpan tha

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    kaun kahe ma.asūm hamārā bachpan thā

    khel meñ bhī to aadhā aadhā āñgan thā

    kāñch chūḌī le kar maiñ jab tak lauTā

    us ke hāthoñ meñ sone kañgan thā

    jo bhī milā sab baañT liyā thā aapas meñ

    ek the ham aur ek apnā bartan thā

    aks nahīñ thā rañgoñ bauchhāreñ thiiñ

    ruup se us ke sahmā huā har darpan thā

    ro-dho kar so jaatā lekin dard tirā

    ik ik buuñd nichoḌne vaalā sāvan thā

    tujh se bichhaḌ kar aur tirī yaad aa.egī

    shāyad aisā sochnā merā bachpan thā

    kaun kahe masum hamara bachpan tha

    khel mein bhi to aadha aadha aangan tha

    kanch ki chuDi le kar main jab tak lauTa

    us ke hathon mein sone ka kangan tha

    jo bhi mila sab banT liya tha aapas mein

    ek the hum aur ek hi apna bartan tha

    aks nahin tha rangon ki bauchhaaren thin

    rup se us ke sahma hua har darpan tha

    ro-dho kar so jata lekin dard tera

    ek ek bund nichoDne wala sawan tha

    tujh se bichhaD kar aur teri yaad aaegi

    shayad aisa sochna mera bachpan tha

    Source:

    Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 40)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 3rd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now