Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera

Bedam Shah Warsi

kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    kaun ghar hai ki ai jaañ nahīñ kāshāna tirā aur jalva-ḳhāna tirā

    mai-kada terā hai ka.aba tirā but-ḳhāna tirā sab hai jānāna tirā

    kisī shakl meñ ho maiñ tirā shaidā.ī huuñ terā saudā.ī huuñ

    agar sham.a hai ai dost maiñ parvāna tirā ya.anī dīvāna tirā

    mujh ko bhī jaam koī pīr-e-ḳharābāt mile terī ḳhairāt mile

    tā-qayāmat yūñhī jaarī rahe paimāna tirā rahe mai-ḳhāna tirā

    tere darvāze pe hāzir hai tire dar faqīr ai amīroñ ke amiir

    mujh pe bhī ho kabhī altāf-e-karīmāna tirā lutf-e-shāhāna tirā

    sadqa mai-ḳhāne saaqī mujhe be-hoshī de ḳhud-farāmoshī de

    yuuñ to sab kahte haiñ 'bedam' tirā mastāna tirā ab huuñ dīvāna tirā

    kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera

    mai-kada tera hai kaba tera but-KHana tera sab hai jaanana tera

    tu kisi shakl mein ho main tera shaidai hun tera saudai hun

    tu agar shama hai ai dost main parwana tera yani diwana tera

    mujh ko bhi jam koi pir-e-KHarabaat mile teri KHairaat mile

    ta-qayamat yunhi jari rahe paimana tera rahe mai-KHana tera

    tere darwaze pe hazir hai tere dar ka faqir ai amiron ke amir

    mujh pe bhi ho kabhi altaf-e-karimana tera lutf-e-shahana tera

    sadqa mai-KHane ka saqi mujhe be-hoshi de KHud-faramoshi de

    yun to sab kahte hain 'bedam' tera mastana tera ab hun diwana tera

    Source:

    Deewan-e-bedam (Rekhta Website) (Pg. 115)

    • Author: Bedam Shah Warsi
      • Publisher: Hindustani Book Depo, Lucknow
      • Year of Publication: 1935
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now