aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kha lo pi lo ashk na jaane kis pal dhup Dhale mele mein

Bimal Krishn Ashk

kha lo pi lo ashk na jaane kis pal dhup Dhale mele mein

Bimal Krishn Ashk

MORE BYBimal Krishn Ashk

    khā lo lo 'ashk' na jaane kis pal dhuup Dhale mele meñ

    kis pal taarā chhiTke kis pal sūraj Duub chale mele meñ

    nithre suthre kapḌe pahne hañsmukh log chale mele meñ

    ro.eñge paivand lage jab baḌ ke peḌ tale mele meñ

    gul hoñ ġhubāre hoñ kapḌe hoñ sab rañg utar jaatā hai

    merī maan bhalā jo chāhe koī chiiz na le mele meñ

    aage pīchhe uupar nīche saat hiñDole ghuum rahe haiñ

    ghabrā.eñ kyā jab tak un kārobār chale mele meñ

    ai harjā.ī us mele meñ apnā milnā kaun kaThin thā

    har sūrat ek aisī kis se miltā kaun gale mele meñ

    kyā jaane kab ghar pahuñcheñge mela hai bhūl-bhulayyāñ

    pal chhan pal chhan karte karte yug biit chale mele meñ

    un tasavvur jhūTe va.ade yaad saaya dil bastī

    ek saperā naT-khaT bachche baḌ ke peḌ tale mele meñ

    haañ 'ashk' vahī haiñ lekin aaj haiñ yuuñ kuchh kho.e kho.e

    jaise koī ghar ko jaate sab kuchh chhoḌ chale mele meñ

    kha lo pi lo 'ashk' na jaane kis pal dhup Dhale mele mein

    kis pal tara chhiTke kis pal suraj Dub chale mele mein

    nithre suthre kapDe pahne hansmukh log chale mele mein

    roenge paiwand lage jab baD ke peD tale mele mein

    gul hon ghubare hon kapDe hon sab ka rang utar jata hai

    meri man bhala jo chahe koi chiz na le mele mein

    aage pichhe upar niche sat hinDole ghum rahe hain

    ghabraen kya jab tak un ka karobar chale mele mein

    ai harjai us mele mein apna milna kaun kaThin tha

    har surat ek aisi kis se milta kaun gale mele mein

    kya jaane kab ghar pahunchenge mela hai ya bhul-bhulayyan

    pal chhan pal chhan karte karte yug hi bit chale mele mein

    un ka tasawwur jhuTe wade yaad ka saya dil ki basti

    ek sapera naT-khaT bachche baD ke peD tale mele mein

    ji han 'ashk' wahi hain lekin aaj hain yun kuchh khoe khoe

    jaise koi ghar ko jate sab kuchh chhoD chale mele mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now