aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaali hai zehn taqat-e-guftar kya kare

Akhtar Saeed

Khaali hai zehn taqat-e-guftar kya kare

Akhtar Saeed

MORE BYAkhtar Saeed

    ḳhālī hai zehn tāqat-e-guftār kyā kare

    hai aañkh band rauzan-e-dīvār kyā kare

    ham aql dil ke sāmne rakhte rahe vale

    dariyā ke aage ret dīvār kyā kare

    merā ab to merī bhī sohbat se tañg hai

    har rishta yaañ hai bā.is-e-āzār kyā kare

    har-sū hai kā.enāt meñ apne lahū rañg

    ho chashm-e-dil se duur to dīdār kyā kare

    kahtā huuñ baar baar samajhtā nahīñ koī

    bahrā ho dil to baat pe isrār kyā kare

    juz teġh dard-e-jāñ nahīñ koī shai ilaaj

    ḳhālī hai haath dīda-e-ḳhūñ-bār kyā kare

    har falsafe se shauq hai āzād sar-ba-sar

    iqrār kyā kare yahāñ inkār kyā kare

    uljhe hue haiñ kitne tamannā ke silsile

    ai ḳhāliq-e-hayāt gunāhgār kyā kare

    rāh-e-nabī meñ bachche javāñ-pīr sab ga.e

    ḳheme meñ tanhā ābid-e-bīmār kyā kare

    KHali hai zehn taqat-e-guftar kya kare

    hai aankh band rauzan-e-diwar kya kare

    hum aql dil ke samne rakhte rahe wale

    dariya ke aage ret ki diwar kya kare

    ji mera ab to meri bhi sohbat se tang hai

    har rishta yan hai bais-e-azar kya kare

    har-su hai kaenat mein apne lahu ka rang

    ho chashm-e-dil se dur to didar kya kare

    kahta hun bar bar samajhta nahin koi

    bahra ho dil to baat pe israr kya kare

    juz tegh dard-e-jaan ka nahin koi shai ilaj

    KHali hai hath dida-e-KHun-bar kya kare

    har falsafe se shauq hai aazad sar-ba-sar

    iqrar kya kare yahan inkar kya kare

    uljhe hue hain kitne tamanna ke silsile

    ai KHaliq-e-hayat gunahgar kya kare

    rah-e-nabi mein bachche jawan-pir sab gae

    KHeme mein tanha aabid-e-bimar kya kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now