Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaali-uz-zehn hun yaadon ko sada di jae

Azhar Inayati

Khaali-uz-zehn hun yaadon ko sada di jae

Azhar Inayati

MORE BYAzhar Inayati

    ḳhālī-uz-zehn huuñ yādoñ ko sadā jaa.e

    rāsta saaf hai kuchh gard uḌā jaa.e

    aaj din bhī dar-o-bām ko takte guzrā

    aaj raat bhī āñkhoñ meñ gañvā jaa.e

    abhī mahfil meñ nazar aate haiñ nādim chehre

    lau charāġhoñ zarā aur ghaTā jaa.e

    vahī darvāza vahī ghar vahī maiñ huuñ lekin

    kaun rahtā hai yahāñ kis ko sadā jaa.e

    raat ke saath huā ḳhatm sitāroñ safar

    apne ashkoñ bhī ab sham.a bujhā jaa.e

    kyā ajab shaḳhs thā jis ne mujhe ye zehn diyā

    yaad rakhne har ik baat bhulā jaa.e

    saarā māhaul pur-asrār hai 'az.har' sāhab

    shahr-e-iḳhlās meñ ab kis ko sadā jaa.e

    KHali-uz-zehn hun yaadon ko sada di jae

    rasta saf hai kuchh gard uDa di jae

    aaj ka din bhi dar-o-baam ko takte guzra

    aaj ki raat bhi aankhon mein ganwa di jae

    abhi mahfil mein nazar aate hain nadim chehre

    lau charaghon ki zara aur ghaTa di jae

    wahi darwaza wahi ghar wahi main hun lekin

    kaun rahta hai yahan kis ko sada di jae

    raat ke sath hua KHatm sitaron ka safar

    apne ashkon ki bhi ab shama bujha di jae

    kya ajab shaKHs tha jis ne mujhe ye zehn diya

    yaad rakhne ki har ek baat bhula di jae

    sara mahaul pur-asrar hai 'azhar' sahab

    shahr-e-iKHlas mein ab kis ko sada di jae

    Source:

    (Pg. 33)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now