Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamushi hi KHamushi mein dastan banta gaya

Jumbish Khairabadi

KHamushi hi KHamushi mein dastan banta gaya

Jumbish Khairabadi

MORE BYJumbish Khairabadi

    ḳhāmushī ḳhāmushī meñ dāstāñ bantā gayā

    merā har aañsū mire ġham zabāñ bantā gayā

    aap ġham jab sharīk-e-qalb-o-jāñ bantā gayā

    ashk har qatra bahr-e-be-karāñ bantā gayā

    zulm TuuTā kiye qaa.em rahī shān-e-amal

    bijliyāñ girtī rahīñ aur āshiyāñ bantā gayā

    dhīre dhīre yaad un dil meñ ghar kartī rahī

    rafta rafta ishq un juzv-e-jāñ bantā gayā

    merī hastī bhī tire jalvoñ meñ gum hotī ga.ī

    terā jalva bhī faroġh-e-lā-makāñ bantā gayā

    rañg laayā is qadar zauq-e-jabīn-e-bandagī

    har nishān-e-sajda terā āstāñ bantā gayā

    jab tak ai 'jumbish' rahe vo mā.il-e-lutf-o-karam

    har nafas ik zindagī-e-jāvidāñ bantā gayā

    KHamushi hi KHamushi mein dastan banta gaya

    mera har aansu mere gham ki zaban banta gaya

    aap ka gham jab sharik-e-qalb-o-jaan banta gaya

    ashk ka har qatra bahr-e-be-karan banta gaya

    zulm TuTa hi kiye qaem rahi shan-e-amal

    bijliyan girti rahin aur aashiyan banta gaya

    dhire dhire yaad un ki dil mein ghar karti rahi

    rafta rafta ishq un ka juzw-e-jaan banta gaya

    meri hasti bhi tere jalwon mein gum hoti gai

    tera jalwa bhi farogh-e-la-makan banta gaya

    rang laya is qadar zauq-e-jabin-e-bandagi

    har nishan-e-sajda tera aastan banta gaya

    jab tak ai 'jumbish' rahe wo mail-e-lutf-o-karam

    har nafas ek zindagi-e-jawidan banta gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now