Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha

Daniyal Tareer

khanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha

Daniyal Tareer

MORE BYDaniyal Tareer

    khañDar ye phir basāne irāda nahīñ thā

    badan meñ lauT aane irāda nahīñ thā

    shikam aag ne bailoñ ko hāñknā sikhāyā

    vagarna hal chalāne irāda nahīñ thā

    vo apne bheḌiyoñ ko sair par laayā thā ban meñ

    ġhazāloñ ko Darāne irāda nahīñ thā

    kahā thā tā.eroñ se peḌ ko dīmak lagī hai

    kisī ko āzmāne irāda nahīñ thā

    ḳhabar kab thī ki āñkheñ os barsāne lageñgī

    tujhe varna jagāne irāda nahīñ thā

    maiñ tere saath uḌtā phir rahā thā āsmāñ meñ

    ḳhudā ko bhuul jaane irāda nahīñ thā

    sadī maiñ ne tamannāoñ ko bāl-o-par diye the

    magar un ko uḌāne irāda nahīñ thā

    khanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha

    badan mein lauT aane ka irada hi nahin tha

    shikam ki aag ne bailon ko hankna sikhaya

    wagarna hal chalane ka irada hi nahin tha

    wo apne bheDiyon ko sair par laya tha ban mein

    ghazalon ko Darane ka irada hi nahin tha

    kaha tha taeron se peD ko dimak lagi hai

    kisi ko aazmane ka irada hi nahin tha

    KHabar kab thi ki aankhen os barsane lagengi

    tujhe warna jagane ka irada hi nahin tha

    main tere sath uDta phir raha tha aasman mein

    KHuda ko bhul jaane ka irada hi nahin tha

    sadi main ne tamannaon ko baal-o-par diye the

    magar un ko uDane ka irada hi nahin tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now