aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai

Majrooh Sultanpuri

KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    ḳhanjar tarah bū-e-saman tez bahut hai

    mausam havā ab ke junūñ-ḳhez bahut hai

    raas aa.e to hai chhāñv bahut barg o shajar

    haath aa.e to har shāḳh samar-rez bahut hai

    logo mirī gul-kāri-e-vahshat sila kyā

    dīvāne ko ik harf-e-dil-āvez bahut hai

    mun.im tarah pīr-e-haram piite haiñ vo jaam

    rindoñ ko bhī jis jaam se parhez bahut hai

    maslūb huā koī sar-e-rāh-e-tamannā

    āvāz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai

    'majrūh' sune kaun tirī talḳh-navā.ī

    guftār-e-azīzāñ shakar-āmez bahut hai

    KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai

    mausam ki hawa ab ke junun-KHez bahut hai

    ras aae to hai chhanw bahut barg o shajar ki

    hath aae to har shaKH samar-rez bahut hai

    logo meri gul-kari-e-wahshat ka sila kya

    diwane ko ek harf-e-dil-awez bahut hai

    munim ki tarah pir-e-haram pite hain wo jam

    rindon ko bhi jis jam se parhez bahut hai

    maslub hua koi sar-e-rah-e-tamanna

    aawaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai

    'majruh' sune kaun teri talKH-nawai

    guftar-e-azizan shakar-amez bahut hai

    RECITATIONS

    Shakeel Jamali

    Shakeel Jamali,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Shakeel Jamali

    KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai Shakeel Jamali

    Nomaan Shauque

    KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now