Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHatm kar dete hain lije aaj afsane ko hum

Asim Wasti

KHatm kar dete hain lije aaj afsane ko hum

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    ḳhatm kar dete haiñ liije aaj afsāne ko ham

    sham.a ke pahlū meñ dafnāte haiñ parvāne ko ham

    ye nahīñ hai dekh kar aa.e haiñ dozaḳh bahisht

    bandagī karte haiñ apne dil ke bahlāne ko ham

    pattharoñ meñ jaan Dāleñge saroñ ko phoḌ kar

    azm ye kar ke chale haiñ aaj but-ḳhāne ko ham

    shab huī to us shajar ko alaav kar liyā

    saa.e meñ baiThe the jis ke din meñ sustāne ko ham

    bahs ke daurān ḳhud ham muttafiq us se hue

    zo.am meñ apne ga.e the us ke samjhāne ko ham

    dhuul uḌtī chhoḌ kar chal degā aage kārvāñ

    aur rah jā.eñge 'āsim' Thokareñ khāne ko ham

    KHatm kar dete hain lije aaj afsane ko hum

    shama ke pahlu mein dafnate hain parwane ko hum

    ye nahin hai dekh kar aae hain dozaKH ya bahisht

    bandagi karte hain apne dil ke bahlane ko hum

    pattharon mein jaan Dalenge saron ko phoD kar

    azm ye kar ke chale hain aaj but-KHane ko hum

    shab hui to us shajar hi ko alaw kar liya

    sae mein baiThe the jis ke din mein sustane ko hum

    bahs ke dauran KHud hum muttafiq us se hue

    zoam mein apne gae the us ke samjhane ko hum

    dhul uDti chhoD kar chal dega aage karwan

    aur rah jaenge 'asim' Thokaren khane ko hum

    Source:

    Kiran Kiran Andhera (Pg. 56)

    • Author: Asim Wasti
      • Publisher: Nairang-e-Khayal Publications, Pakistan
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now