Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHatm shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi

Majrooh Sultanpuri

KHatm shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    ḳhatm shor-e-tūfāñ thā duur thī siyāhī bhī

    dam ke dam meñ afsāna thī mirī tabāhī bhī

    iltifāt samjhūñ be-ruḳhī kahūñ is ko

    rah ga.ī ḳhalish ban kar us kam-nigāhī bhī

    us nazar ke uThne meñ us nazar ke jhukne meñ

    naġhma-e-sahr bhī hai āh-e-sub.h-gāhī bhī

    yaad kar vo din jis din terī saḳht-gīrī pur

    ashk bhar ke uTThī thī merī be-gunāhī bhī

    pastī-e-zamīñ se hai rif.at-e-falak qaa.em

    merī ḳhasta-hālī se terī kaj-kulāhī bhī

    sham.a bhī ujālā bhī maiñ apnī mahfil

    maiñ apnī manzil rāhbar bhī raahī bhī

    gumbadoñ se palTī hai apnī sadā 'majrūh'

    masjidoñ meñ maiñ ne ke dād-ḳhvāhī bhī

    KHatm shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi

    dam ke dam mein afsana thi meri tabahi bhi

    iltifat samjhun ya be-ruKHi kahun is ko

    rah gai KHalish ban kar us ki kam-nigahi bhi

    us nazar ke uThne mein us nazar ke jhukne mein

    naghma-e-sahr bhi hai aah-e-subh-gahi bhi

    yaad kar wo din jis din teri saKHt-giri pur

    ashk bhar ke uTThi thi meri be-gunahi bhi

    pasti-e-zamin se hai rifat-e-falak qaem

    meri KHasta-haali se teri kaj-kulahi bhi

    shama bhi ujala bhi main hi apni mahfil ka

    main hi apni manzil ka rahbar bhi rahi bhi

    gumbadon se palTi hai apni hi sada 'majruh'

    masjidon mein ki main ne ja ke dad-KHwahi bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now