Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo humne baDha diye hain

Shauq Bahraichi

KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo humne baDha diye hain

Shauq Bahraichi

MORE BYShauq Bahraichi

    ḳhilāf-e-hañgāma-e-tashaddud qadam jo ham ne baḌhā diye haiñ

    baḌe baḌe bāniyān-e-jaur-o-sitam ke badhiye biThā diye haiñ

    ḳhayālī ġhunche khilā diye haiñ ḳhayālī gulshan sajā diye haiñ

    na.e madārī ne do din meñ tamāshe kyā kyā dikhā diye haiñ

    koī to hai be-ḳhud-e-ta.ayyush koī hai mahv-e-husūl-e-sarvat

    khilaune hāthoñ meñ rahbaroñ ke ye kis ne kar thamā diye haiñ

    vatan meñ shām-o-sahar jo hotī hai parvarish shaiḳh o barhaman

    yatīm-ḳhāna meñ in yatīmoñ ke naam kis ne likhā diye haiñ

    ye shaiḳh haiñ aur ye barhaman haiñ ye vaa.iz o sadr-e-anjuman haiñ

    zamāna pahchāntā hai sab ko har ik pe lebal lagā diye haiñ

    jafā-shi.āroñ meñ shāyad aa jaa.e is tarah kuchh asar vafā

    mañgā ke murġhiyoñ ke anDe batoñ ke nīche biThā diye haiñ

    KHilaf-e-hangama-e-tashaddud qadam jo hum ne baDha diye hain

    baDe baDe baniyan-e-jaur-o-sitam ke badhiye biTha diye hain

    KHayali ghunche khila diye hain KHayali gulshan saja diye hain

    nae madari ne do hi din mein tamashe kya kya dikha diye hain

    koi to hai be-KHud-e-tayyush koi hai mahw-e-husul-e-sarwat

    khilaune hathon mein rahbaron ke ye kis ne la kar thama diye hain

    watan mein sham-o-sahar jo hoti hai parwarish shaiKH o barhaman ki

    yatim-KHana mein in yatimon ke nam kis ne likha diye hain

    ye shaiKH hain aur ye barhaman hain ye waiz o sadr-e-anjuman hain

    zamana pahchanta hai sab ko har ek pe lebal laga diye hain

    jafa-shiaron mein shayad aa jae is tarah kuchh asar wafa ka

    manga ke murghiyon ke anDe baton ke niche biTha diye hain

    Source:

    intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 129)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now