Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHirad fareb-e-nazaron ki koi baat karo

Shakeb Jalali

KHirad fareb-e-nazaron ki koi baat karo

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    Interesting Fact

    April 1951

    ḳhirad fareb-e-nazāroñ koī baat karo

    junūñ-navāz bahāroñ koī baat karo

    kisī va.ada-ḳhilāfī zikr ḳhuub nahīñ

    mire rafīq sitāroñ koī baat karo

    zamāna-sāz zamāne baat rahne do

    ḳhulūs-e-dost ke māroñ koī baat karo

    ghaTā oT se chhup kar jo dekhte the hameñ

    unhīñ sharīr sitāroñ koī baat karo

    zamāna zikr-e-havādis se kaañp uThtā hai

    sukūñ-ba-dosh kināroñ koī baat karo

    nahīñ hai hadd-e-nazar tak vajūd sāhil

    fazā muhīb hai dhāroñ koī baat karo

    salām-e-shauq liye the kisī ne jin se 'shakeb'

    unhīñ latīf ishāroñ koī baat karo

    KHirad fareb-e-nazaron ki koi baat karo

    junun-nawaz bahaaron ki koi baat karo

    kisi ki wada-KHilafi ka zikr KHub nahin

    mere rafiq sitaron ki koi baat karo

    zamana-saz zamane ki baat rahne do

    KHulus-e-dost ke maron ki koi baat karo

    ghaTa ki oT se chhup kar jo dekhte the hamein

    unhin sharir sitaron ki koi baat karo

    zamana zikr-e-hawadis se kanp uThta hai

    sukun-ba-dosh kinaron ki koi baat karo

    nahin hai hadd-e-nazar tak wajud sahil ka

    faza muhib hai dhaaron ki koi baat karo

    salam-e-shauq liye the kisi ne jin se 'shakeb'

    unhin latif ishaaron ki koi baat karo

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 261)

    • Author: Mohd Nasir Khan
      • Edition: 2007
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now