Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHizan mein bhi bahaar-e-jawedan malum hoti hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

KHizan mein bhi bahaar-e-jawedan malum hoti hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    ḳhizāñ meñ bhī bahār-e-jāvedāñ mālūm hotī hai

    javānī ho to phir har shai javāñ mālūm hotī hai

    yahāñ mālūm hotī hai vahāñ mālūm hotī hai

    ḳhalish dil kahāñ hai aur kahāñ mālūm hotī hai

    jafā un vafā merī vafā merī jafā un

    mohabbat dāstāñ-dar-dāstāñ mālūm hotī hai

    asīrān-e-qafas haiñ ham se pūchho qadr-e-āzādī

    ki ab bijlī bhī shāḳh-e-āshiyāñ mālūm hotī hai

    ye maanā ishq meñ sabr o sukūñ se kuchh nahīñ hāsil

    magar āh-o-fuġhāñ bhī rā.egāñ mālūm hotī hai

    payām-e-ishq dete haiñ vo jab nazroñ nazroñ meñ

    vo ik saa.at hayāt-e-jāvedāñ mālūm hotī hai

    latāfat ishq hai māna-e-nazzāra-e-sūrat

    mohabbat ḳhud hijāb-e-darmiyāñ mālūm hotī hai

    baḌī mushkil se samjhe haiñ shahīd-e-ishq mansab

    'sahar' ab zindagī bār-e-girāñ mālūm hotī hai

    KHizan mein bhi bahaar-e-jawedan malum hoti hai

    jawani ho to phir har shai jawan malum hoti hai

    yahan malum hoti hai wahan malum hoti hai

    KHalish dil ki kahan hai aur kahan malum hoti hai

    jafa un ki wafa meri wafa meri jafa un ki

    mohabbat dastan-dar-dastan malum hoti hai

    asiran-e-qafas hain hum se puchho qadr-e-azadi

    ki ab bijli bhi shaKH-e-ashiyan malum hoti hai

    ye mana ishq mein sabr o sukun se kuchh nahin hasil

    magar aah-o-fughan bhi raegan malum hoti hai

    payam-e-ishq dete hain wo jab nazron hi nazron mein

    wo ek saat hayat-e-jawedan malum hoti hai

    latafat ishq ki hai mana-e-nazzara-e-surat

    mohabbat KHud hijab-e-darmiyan malum hoti hai

    baDi mushkil se samjhe hain shahid-e-ishq ka mansab

    'sahar' ab zindagi bar-e-giran malum hoti hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHizan mein bhi bahaar-e-jawedan malum hoti hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now