aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai

Mirza Azfari

KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai

Mirza Azfari

MORE BYMirza Azfari

    ḳhizāñ tanhā na sair-e-bostāñ ko bigāḌ aa.ī

    sabā bhī chal ke vaañ ai bulbulo phūloñ ko jhaaḌ aa.ī

    shab-e-bīmār kaalī balā raat kaalī hai

    qayāmat aa.ī chhātī pe ye hijrāñ pahāḌ aa.ī

    jo aayā yaar to ho chalā ġhash ai divāne dil

    isī dam tujh ko marnā thā batā kyā tujh ko dhaaḌ aa.ī

    masal hai bar-mahal ai 'azfarī' jo ki gayā koī

    hamārī baar ko gul chhaḌ ga.e kāñToñ baaḌ aa.ī

    KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai

    saba bhi chal ke wan ai bulbulo phulon ko jhaD aai

    shab-e-bimar ya kali bala ya raat kali hai

    qayamat aai ya chhati pe ye hijran pahaD aai

    jo aaya yar to tu ho chala ghash ai diwane dil

    isi dam tujh ko marna tha bata kya tujh ko dhaD aai

    masal hai bar-mahal ai 'azfari' jo ki gaya koi

    hamari bar ko gul chhaD gae kanTon ki baD aai

    Source:

    Deewan-e-Azfari (Pg. ebook-28 page-19)

    • Author: Mirza Azfari
      • Edition: 1939
      • Publisher: University of Madras
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now