Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud mujhko mere dast-e-kaman-gir se mila

Shahid Kamal

KHud mujhko mere dast-e-kaman-gir se mila

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    ḳhud mujh ko mere dast-e-kamāñ-gīr se milā

    jo zaḳhm bhī milā hai usī tiir se milā

    tujh ko ḳhabar bhī hai mire inkār javāb

    teġh-o-sinān-o-ḳhanjar-o-shamshīr se milā

    gum ho gayā thā maiñ kahīñ dasht-e-vajūd meñ

    maiñ apne ism-e-zāt tasḳhīr se milā

    milne kuchh ḳhushī na bichhaḌne ḳhauf hai

    ai mirī jaan baḌī tāḳhīr se milā

    ai ramz-e-āgahī maiñ tujhe ḳhud pe karūñ

    vahshat ko mere paañv zanjīr se milā

    dariyā tamām tishna laboñ hai milkiyat

    is mumlikat ko pyaas jāgīr se milā

    jo ḳhvāb merī chashm-e-zarūrat ne kho diyā

    vo ḳhvāb mere ḳhvāb ta.abīr se milā

    'shāhid' mire mizāj āshuftagī na dekh

    merī udāsiyoñ nasab 'mīr' se milā

    KHud mujh ko mere dast-e-kaman-gir se mila

    jo zaKHm bhi mila hai usi tir se mila

    tujh ko KHabar bhi hai mere inkar ka jawab

    tegh-o-sinan-o-KHanjar-o-shamshir se mila

    gum ho gaya tha main kahin dasht-e-wajud mein

    main apne ism-e-zat ki tasKHir se mila

    milne ki kuchh KHushi na bichhaDne ka KHauf hai

    ai meri jaan tu baDi taKHir se mila

    ai ramz-e-agahi main tujhe KHud pe wa karun

    wahshat ko mere panw ki zanjir se mila

    dariya tamam tishna labon ki hai milkiyat

    is mumlikat ko pyas ki jagir se mila

    jo KHwab meri chashm-e-zarurat ne kho diya

    wo KHwab mere KHwab ki tabir se mila

    'shahid' mere mizaj ki aashuftagi na dekh

    meri udasiyon ka nasab 'mir' se mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now