KHuda jaane kahan ye fikr ka rahwar le jae
ḳhudā jaane kahāñ ye fikr kā rahvār le jaa.e
samundar meñ Duubā de yā samundar paar le jaa.e
lagānā ho jise apne safīne ko kināre se
maiñ de dūñgā magar vo maañg kar patvār le jaa.e
maiñ yūsuf to nahīñ lekin zuleḳhā-e-jahāñ sun leñ
na ho jis ko yaqīñ mujh ko sar-e-bāzār le jaa.e
bhikārī ban ke aatā huuñ kabhī ye aap ne sochā
kahāñ tak aap ke dar se koī inkār le jaa.e
vo merī nafratoñ se ḳhatm kar ke vāsta apnā
koī dushman bhī ho merā to mujh se pyaar le jaa.e
ye bāteñ haiñ alag sāñseñ mirī thamne ko haiñ lekin
maiñ jab tak huuñ davā sehat kī har bīmār le jaa.e
yaqīñ hai jiit legā dil vo saare sunñe vāloñ kā
agar mahfil meñ 'ġhaibī' ko koī ik baar le jaa.e
KHuda jaane kahan ye fikr ka rahwar le jae
samundar mein Duba de ya samundar par le jae
lagana ho jise apne safine ko kinare se
main de dunga magar wo mang kar patwar le jae
main yusuf to nahin lekin zuleKHa-e-jahan sun len
na ho jis ko yaqin mujh ko sar-e-bazar le jae
bhikari ban ke aata hun kabhi ye aap ne socha
kahan tak aap ke dar se koi inkar le jae
wo meri nafraton se KHatm kar ke wasta apna
koi dushman bhi ho mera to mujh se pyar le jae
ye baaten hain alag sansen meri thamne ko hain lekin
main jab tak hun dawa sehat ki har bimar le jae
yaqin hai jit lega dil wo sare sunne walon ka
agar mahfil mein 'ghaibi' ko koi ek bar le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.