Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudaya ishq mein achchhi ye shart-e-imtihan rakh di

Sahir Siyalkoti

KHudaya ishq mein achchhi ye shart-e-imtihan rakh di

Sahir Siyalkoti

MORE BYSahir Siyalkoti

    ḳhudāyā ishq meñ achchhī ye shart-e-imtihāñ rakh

    lagā kar mohr-e-ḳhāmoshī mire muñh meñ zabāñ rakh

    jo pūchho dil se shai tum ne kahāñ ai mehrbāñ rakh

    baḌī naḳhvat se kahte haiñ jahāñ chāhī vahāñ rakh

    kisī ke jaur-e-behad par bhī jab ḳhāmosh rahnā thā

    to phir kyuuñ ai ḳhudā ne mire muñh meñ zabāñ rakh

    mohabbat nishāñ tak bhī zamāne meñ nahīñ miltā

    uThā kar chiiz ye ai āsmāñ ne kahāñ rakh

    kahāñ tak hādsāt-e-barq-o-bārāñ se rahūñ ḳhā.if

    ḳhudā naam le kar maiñ ne tarah-e-āshiyāñ rakh

    KHudaya ishq mein achchhi ye shart-e-imtihan rakh di

    laga kar mohr-e-KHamoshi mere munh mein zaban rakh di

    jo puchho dil se shai tum ne kahan ai mehrban rakh di

    baDi naKHwat se kahte hain jahan chahi wahan rakh di

    kisi ke jaur-e-behad par bhi jab KHamosh rahna tha

    to phir kyun ai KHuda tu ne mere munh mein zaban rakh di

    mohabbat ka nishan tak bhi zamane mein nahin milta

    uTha kar chiz ye ai aasman tu ne kahan rakh di

    kahan tak hadsat-e-barq-o-baran se rahun KHaif

    KHuda ka nam le kar main ne tarah-e-ashiyan rakh di

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 169)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now