Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushki pe rahungi kabhi pani mein rahungi

Rashida Maheen Malik

KHushki pe rahungi kabhi pani mein rahungi

Rashida Maheen Malik

MORE BYRashida Maheen Malik

    ḳhushkī pe rahūñgī kabhī paanī meñ rahūñgī

    umr isī naql-e-makānī meñ rahūñgī

    maiñ jism nahīñ husn huuñ ai chashm-e-abad-tāb

    mar kar bhī mohabbat kahānī meñ rahūñgī

    tābinda raheñge mirī āñkhoñ ke kināre

    ashkoñ meñ Dhalī huuñ ki ravānī meñ rahūñgī

    ajdād qurbat se uThāyā gayā mujh ko

    goyā maiñ buzurgoñ nishānī meñ rahūñgī

    sheroñ pe mauqūf nahīñ merī haqīqat

    alfāz se bhāgūñgī ma.ānī meñ rahūñgī

    ai shā.er-e-dil-soz mire dukh ko bayāñ kar

    hashr tirī sho.ala-bayānī meñ rahūñgī

    ab guḌiyā paToloñ se ilāqa nahīñ 'māhīn'

    bachpan se nikal aa.ī javānī meñ rahūñgī

    KHushki pe rahungi kabhi pani mein rahungi

    ta umr isi naql-e-makani mein rahungi

    main jism nahin husn hun ai chashm-e-abad-tab

    mar kar bhi mohabbat ki kahani mein rahungi

    tabinda rahenge meri aankhon ke kinare

    ashkon mein Dhali hun ki rawani mein rahungi

    ajdad ki qurbat se uThaya gaya mujh ko

    goya main buzurgon ki nishani mein rahungi

    sheron hi pe mauquf nahin meri haqiqat

    alfaz se bhagungi maani mein rahungi

    ai shaer-e-dil-soz mere dukh ko bayan kar

    ta hashr teri shoala-bayani mein rahungi

    ab guDiya paTolon se ilaqa nahin 'mahin'

    bachpan se nikal aai jawani mein rahungi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now