KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha
ḳhūn-e-dil hotā rahā ḳhūn-e-jigar hotā rahā
ye tamāshā ishq meñ shām-o-sahar hotā rahā
is jahān-e-āb-o-gil meñ yuuñ basar hotī rahī
muskurāte bhī rahe dāman bhī tar hotā rahā
ārzuoñ ko taḌap kar niiñd sī aatī ga.ī
qissa-e-bīmār-e-ġham yuuñ muḳhtasar hotā rahā
in kī bātoñ par yaqīñ ham umar bhar karte rahe
intizār-e-shām-e-va.ada umr bhar hotā rahā
talḳhi-e-ġham se na pal bhar ke liye fursat milī
umr bhar go chāra-e-dard-e-jigar hotā rahā
KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha
ye tamasha ishq mein sham-o-sahar hota raha
is jahan-e-ab-o-gil mein yun basar hoti rahi
muskuraate bhi rahe daman bhi tar hota raha
aarzuon ko taDap kar nind si aati gai
qissa-e-bimar-e-gham yun muKHtasar hota raha
in ki baaton par yaqin hum umar bhar karte rahe
intizar-e-sham-e-wada umr bhar hota raha
talKHi-e-gham se na pal bhar ke liye fursat mili
umr bhar go chaara-e-dard-e-jigar hota raha
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 95)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.