Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ki basti mein afsane ka ghar

Abdul Mannan Tarzi

KHwab ki basti mein afsane ka ghar

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    ḳhvāb bastī meñ afsāne ghar

    sham.a lau par hai parvāne ghar

    ban ga.e āḳhir harīf-e-bāl-o-par

    daam dīvār aur daane ghar

    aap bhī sañg-e-ta.aqqul pheñkiye

    ā.ina-ḳhāna hai dīvāne ghar

    maiñ junūn-e-ishq aur sahrā-e-ġham

    adū bazm begāne ghar

    aql-o-dānish ilm-o-irfāñ fikr-o-hosh

    kin hisāroñ meñ hai farzāne ghar

    ho ga.e gumrāh kuchh merī tarah

    DhūñDte haiñ shaiḳh paimāne ghar

    qismat-e-'tarzī' yahī jāgīr thī

    shahr-e-ġham kahiye ki vīrāne ghar

    KHwab ki basti mein afsane ka ghar

    shama ki lau par hai parwane ka ghar

    ban gae aaKHir harif-e-baal-o-par

    dam ki diwar aur dane ka ghar

    aap bhi sang-e-taqqul phenkiye

    aaina-KHana hai diwane ka ghar

    main junun-e-ishq aur sahra-e-gham

    tu adu ki bazm begane ka ghar

    aql-o-danish ilm-o-irfan fikr-o-hosh

    kin hisaron mein hai farzane ka ghar

    ho gae gumrah kuchh meri tarah

    DhunDte hain shaiKH paimane ka ghar

    qismat-e-'tarzi' yahi jagir thi

    shahr-e-gham kahiye ki virane ka ghar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now