KHwabida hain is lams mein imkan kuchh aise
ḳhvābīda haiñ is lams meñ imkān kuchh aise
maiñ harf-e-digar huuñ mujhe pahchān kuchh aise
is baar sabhī chup haiñ mujhe rokne vaale
maiñ sab ko kiye jaatā huuñ hairān kuchh aise
ye jaise mire rang-e-ravāñ kī nigarāñ hai
har aan mirā dhuup meñ hai dhyān kuchh aise
maiñ jaise koī ḳhāk-ba-sar ḳhvāb-e-safar huuñ
raste meñ paḌā hai mirā sāmān kuchh aise
ham fard-e-junūñ khol ke mushkil meñ na paḌ jaa.eñ
is fard meñ kar rakkhī hai mīzān kuchh aise
ā.īnoñ ke is karb meñ ham apnī kaheñ kyā
ā.īna hai ā.īne pe hairān kuchh aise
KHwabida hain is lams mein imkan kuchh aise
main harf-e-digar hun mujhe pahchan kuchh aise
is bar sabhi chup hain mujhe rokne wale
main sab ko kiye jata hun hairan kuchh aise
ye jaise mere rang-e-rawan ki nigaran hai
har aan mera dhup mein hai dhyan kuchh aise
main jaise koi KHak-ba-sar KHwab-e-safar hun
raste mein paDa hai mera saman kuchh aise
hum fard-e-junun khol ke mushkil mein na paD jaen
is fard mein kar rakkhi hai mizan kuchh aise
aainon ke is karb mein hum apni kahen kya
aaina hai aaine pe hairan kuchh aise
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 66)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.