Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwabon ke kisi moD pe dekha sa lage hai

Qaisarul Jafri

KHwabon ke kisi moD pe dekha sa lage hai

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    ḳhvāboñ ke kisī moḌ pe dekhā lage hai

    apnā na sahī phir bhī vo apnā lage hai

    ai shiddat-e-girya kahīñ dil Duub na jaa.e

    ye dard lamha mujhe dariyā lage hai

    jis moḌ pe bichhḌe the hamesha ke liye ham

    dil hai ki usī moḌ pe Thahrā lage hai

    āñkhoñ meñ basī hai koī khoī huī ḳhushbū

    jis phuul ko dekho vahī chehrā lage hai

    barsoñ se kisī ke liye ro.e bhī nahīñ ham

    kyoñ zaḳhm-e-tamannā hai ki taaza lage hai

    tum Dūbte sūraj ke liye ro.o ho 'qaisar'

    kuchh der meñ saaya bhī bichhaḌtā lage hai

    KHwabon ke kisi moD pe dekha sa lage hai

    apna na sahi phir bhi wo apna sa lage hai

    ai shiddat-e-girya kahin dil Dub na jae

    ye dard ka lamha mujhe dariya sa lage hai

    jis moD pe bichhDe the hamesha ke liye hum

    dil hai ki usi moD pe Thahra sa lage hai

    aankhon mein basi hai koi khoi hui KHushbu

    jis phul ko dekho wahi chehra sa lage hai

    barson se kisi ke liye roe bhi nahin hum

    kyon zaKHm-e-tamanna hai ki taza sa lage hai

    tum Dubte suraj ke liye roo ho 'qaisar'

    kuchh der mein saya bhi bichhaDta sa lage hai

    Source:

    (Pg. 66)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now