Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the

Haidar Ali Aatish

KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    ḳhvāhāñ tire har rañg meñ ai yaar hamīñ the

    yūsuf thā agar to ḳharīdār hamīñ the

    be-dād mahfil meñ sazā-vār hamīñ the

    taqsīr kisī ho gunahgār hamīñ the

    va.ada thā hamīñ se lab-e-bām aane honā

    saaye tarah se pas-e-dīvār hamīñ the

    kañghī tirī zulfoñ hamīñ par thī muqarrar

    ā.īna dikhāte tujhe har baar hamīñ the

    ne.amat thī tire husn hisse meñ hamāre

    kān-e-malāhat thā ḳharīdār hamīñ the

    saudā-zada zulfoñ na thā apne sivā ek

    āzād do-ālam thā giraftār hamīñ the

    aur ham ai dost the yak-jān do qālib

    thā ġhair sivā apne jo thā yaar hamīñ the

    bīmār-e-mohabbat thā sivā apne na koī

    ik mustahiq-e-sharbat-e-dīdār hamīñ the

    be apne bahaltī thī tabī.at na kisī se

    dil-soz hamīñ the tire ġham-ḳhvār hamīñ the

    ik jumbish-e-mizhgāñ se ġhash aatā thā hamīñ ko

    do nargis-e-bīmār ke bīmār hamīñ the

    jab chāhte the lete the āġhosh meñ tum ko

    majbūr se rah jaate the muḳhtār hamīñ the

    ham na koī chāhne vaalā thā tumhārā

    marte the hamīñ jaan se bezār hamīñ the

    bad-nām mohabbat ne tirī ham ko kiyā thā

    rusvā-e-sar-e-kūcha-o-bāzār hameñ the

    dil Thokareñ khātā thā na har gaam kisī

    ik ḳhaak meñ milte dam-e-raftār hamīñ the

    bhaḌkāne se 'ātish' ko jalāne lage to

    altāf-o-ināyat ke sazā-vār hamīñ the

    KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the

    yusuf tha agar tu to KHaridar hamin the

    be-dad ki mahfil mein saza-war hamin the

    taqsir kisi ki ho gunahgar hamin the

    wada tha hamin se lab-e-baam aane ka hona

    saye ki tarah se pas-e-diwar hamin the

    kanghi teri zulfon ki hamin par thi muqarrar

    aaina dikhate tujhe har bar hamin the

    neamat thi tere husn ki hisse mein hamare

    tu kan-e-malahat tha KHaridar hamin the

    sauda-zada zulfon ka na tha apne siwa ek

    aazad do-alam tha giraftar hamin the

    tu aur hum ai dost the yak-jaan do qalib

    tha ghair siwa apne jo tha yar hamin the

    bimar-e-mohabbat tha siwa apne na koi

    ek mustahiq-e-sharbat-e-didar hamin the

    be apne bahalti thi tabiat na kisi se

    dil-soz hamin the tere gham-KHwar hamin the

    ek jumbish-e-mizhgan se ghash aata tha hamin ko

    do nargis-e-bimar ke bimar hamin the

    jab chahte the lete the aaghosh mein tum ko

    majbur se rah jate the muKHtar hamin the

    hum sa na koi chahne wala tha tumhaara

    marte the hamin jaan se bezar hamin the

    bad-nam mohabbat ne teri hum ko kiya tha

    ruswa-e-sar-e-kucha-o-bazar hamein the

    dil Thokaren khata tha na har gam kisi ka

    ek KHak mein milte dam-e-raftar hamin the

    bhaDkane se 'atish' ko jalane lage ya to

    altaf-o-inayat ke saza-war hamin the

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 296)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now