Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kinare toD ke bahar nikal gaya dariya

Mahender Kumar Sani

kinare toD ke bahar nikal gaya dariya

Mahender Kumar Sani

MORE BYMahender Kumar Sani

    kināre toḌ ke bāhar nikal gayā dariyā

    lakīr chhoḌ ke ye kis taraf chalā dariyā

    ab is se pahle samundar se ke mil paatā

    ḳhud apnī pyaas meñ ġharq ho gayā dariyā

    mire badan samundar to ḳhushk hotā gayā

    ravāñ davāñ rahā merī soch dariyā

    use kabhī na samundar justujū hotī

    tahoñ meñ apnī utar kar jo dekhtā dariyā

    ḳhulūs hai ye to us kahāñ majbūrī

    rihā.ī hai samundar ko rāsta dariyā

    use maiñ duur se dekhtā rahā 'sānī'

    jo aaj paanī meñ utrā huuñ to khulā dariyā

    kinare toD ke bahar nikal gaya dariya

    lakir chhoD ke ye kis taraf chala dariya

    ab is se pahle samundar se ja ke mil pata

    KHud apni pyas mein hi gharq ho gaya dariya

    mere badan ka samundar to KHushk hota gaya

    rawan dawan hi raha meri soch ka dariya

    use kabhi na samundar ki justuju hoti

    tahon mein apni utar kar jo dekhta dariya

    KHulus hai ye to us ka kahan ki majburi

    rihai ka hai samundar ko rasta dariya

    use main dur hi se dekhta raha 'sani'

    jo aaj pani mein utra hun to khula dariya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now