Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis kis lau par kaThi bandhi kis kis ko di bag

Hamida Shaheen

kis kis lau par kaThi bandhi kis kis ko di bag

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    kis kis lau par kāThī bāñdhī kis kis ko baag

    tum kyā jaano ham ne qaabū hai kaisī aag

    das poreñ betābī se phailā.eñ lākhoñ jaal

    jab raushan parde par ghaat lagā.e koī ghaag

    piilī paḌte paḌte maiñ sone meñ Dhaltī jā.ūñ

    phir pahre par aa baiThe vo kalġhī vaalā naag

    label vo jaisā bhī oḌhe ho jaa.e ehsās

    is botal meñ jin hai is uḌ jaanā hai kaag

    phir paanī meñ Daal madhānī baiTh ga.e haiñ dost

    phir merī roTī par chupḌeñge ye phīke jhaag

    is bastī chiknī miTTī khole nāhīñ bhed

    kis darvāze par dastak se khul sakte haiñ bhaag

    sarsoñ ke phūloñ meñ ek gulābī lahr chale

    jab rañgoñ se rūThī naarī toḌan aa.e saag

    kis chullū meñ Daale jaa.eñ saat suroñ ke ashk

    kin hāthoñ meñ āḳhir ThanDā hogā dīpak raag

    kis kis lau par kaThi bandhi kis kis ko di bag

    tum kya jaano hum ne qabu ki hai kaisi aag

    das poren betabi se phailaen lakhon jal

    jab raushan parde par ghat lagae koi ghag

    pili paDte paDte main sone mein Dhalti jaun

    phir pahre par aa baiThe wo kalghi wala nag

    label wo jaisa bhi oDhe ho jae ehsas

    is botal mein jin hai is ka uD jaana hai kag

    phir pani mein Dal madhani baiTh gae hain dost

    phir meri roTi par chupDenge ye phike jhag

    is basti ki chikni miTTi khole nahin bhed

    kis darwaze par dastak se khul sakte hain bhag

    sarson ke phulon mein ek gulabi lahr chale

    jab rangon se ruThi nari toDan aae sag

    kis chullu mein Dale jaen sat suron ke ashk

    kin hathon mein aaKHir ThanDa hoga dipak rag

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now