Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis se puchhun hae main is dil ke samjhane ki tarah

Taban Abdul Hai

kis se puchhun hae main is dil ke samjhane ki tarah

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    kis se pūchhūñ haa.e maiñ is dil ke samjhāne tarah

    saath tiflāñ ke lagā phirtā hai dīvāne tarah

    yaar ke paañv pe sar rakh ko apne dījiye

    is se behtar aur nahīñ hotī hai mar jaane tarah

    kab pilāvegā ai saaqī mujhe jām-e-sharāb

    jāñ-ba-lab huuñ aarzū meñ mai paimāne tarah

    mast aatā hai piye mai aaj vo qātil mirā

    kuchh nazar aatī hai mujh ko apne jaane tarah

    sham.a-rū ke gird phirtī haiñ sadā qurbān ho

    chashm merī par lagā mizhgāñ ke parvāne tarah

    baaġh meñ gul ne kiyā apne ta.iiñ lohūluhān

    dekh us ġhuncha-dahan ke paan ke khāne tarah

    fasl-e-gul aa.ī hai 'tābāñ' ghar meñ kyā baiThā hai yuuñ

    kar garebāñ chaak sahrā meñ dīvāne tarah

    kis se puchhun hae main is dil ke samjhane ki tarah

    sath tiflan ke laga phirta hai diwane ki tarah

    yar ke panw pe sar rakh ji ko apne dijiye

    is se behtar aur nahin hoti hai mar jaane ki tarah

    kab pilawega tu ai saqi mujhe jam-e-sharab

    jaan-ba-lab hun aarzu mein mai ki paimane ki tarah

    mast aata hai piye mai aaj wo qatil mera

    kuchh nazar aati hai mujh ko apne ji jaane ki tarah

    shama-ru ke gird phirti hain sada qurban ho

    chashm meri par laga mizhgan ke parwane ki tarah

    bagh mein gul ne kiya apne tain lohuluhan

    dekh us ghuncha-dahan ke pan ke khane ki tarah

    fasl-e-gul aai hai 'taban' ghar mein kya baiTha hai yun

    kar gareban chaak ja sahra mein diwane ki tarah

    Source:

    Deewan-e-Taban Rekhta Website) (Pg. 49)

      • Edition: 1935
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now