Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis tarah lab pe hansi ban ke fughan aati hai

Shaanul Haq Haqqi

kis tarah lab pe hansi ban ke fughan aati hai

Shaanul Haq Haqqi

MORE BYShaanul Haq Haqqi

    kis tarah lab pe hañsī ban ke fuġhāñ aatī hai

    mujh se pūchho mujhe phūloñ zabāñ aatī hai

    zahr-e-ġham piije to alfāz meñ ras aatā hai

    dil ko ḳhuuñ kiije to afkār meñ jaañ aatī hai

    ḳhair ho dil ki phir lai vahī chheḌī us ne

    jaise kashtī taraf mauj-e-ravāñ aatī hai

    shikan-e-zulf bhī hai husn-e-tarab meñ goyā

    khiñch ke har taan meñ tasvīr-e-butāñ aatī hai

    baat vo hai jo lab-e-la.al-e-nigārāñ se chale

    ḳhuuñ bhī ho dil to ye tāsīr kahāñ aatī hai

    phir nazar aatī hai mehrāb-e-haram ḳhālī

    phir vahī yād-e-butāñ āfat-e-jāñ aatī hai

    ḳhush-adāoñ ke suḳhan ek saare 'haqqī'

    un ko europe meñ bhī dillī zabāñ aatī hai

    kis tarah lab pe hansi ban ke fughan aati hai

    mujh se puchho mujhe phulon ki zaban aati hai

    zahr-e-gham pije to alfaz mein ras aata hai

    dil ko KHun kije to afkar mein jaan aati hai

    KHair ho dil ki ki phir lai wahi chheDi us ne

    jaise kashti ki taraf mauj-e-rawan aati hai

    shikan-e-zulf bhi hai husn-e-tarab mein goya

    khinch ke har tan mein taswir-e-butan aati hai

    baat wo hai jo lab-e-lal-e-nigaran se chale

    KHun bhi ho dil to ye tasir kahan aati hai

    phir nazar aati hai mehrab-e-haram KHali si

    phir wahi yaad-e-butan aafat-e-jaan aati hai

    KHush-adaon ke suKHan ek hi sare 'haqqi'

    un ko europe mein bhi dilli ki zaban aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now