aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun

Munawar Khan Ghafil

kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun

Munawar Khan Ghafil

MORE BYMunawar Khan Ghafil

    kisī ke maiñ libās-e-āriyat ko kyā samajhtā huuñ

    phaTe kapḌoñ ko apnī ḳhil.at-e-dībā samajhtā huuñ

    jahāñ dīvāna koī apne saa.e se ulajhtā hai

    use zulf-e-musalsal tirī saudā samajhtā huuñ

    maiñ go majnūñ huuñ par matlab nahīñ kuchh koh-o-sahrā se

    savād-e-shahr ko ḳhema-e-lailā samajhtā huuñ

    hazāroñ bāġh-e-duniyā meñ tamāshe maiñ ne dekhe haiñ

    do-rañgī ko zamāne gul-e-ra.anā samajhtā huuñ

    nahīñ mai-ḳhāna-e-ālam meñ mujh mast-o-be-ḳhud hai

    ki shor-e-hashr ko bhī qulqul-e-mīnā samajhtā huuñ

    atā hai ḳhudā ne chashm-e-vahdat-e-bīñ mujhe jaise

    jise qatra samajhtā thā use dariyā samajhtā huuñ

    hameñ rah rah ke yaad aatā hai hañgām-e-itāb us

    dikhā kar aañkh kahnā rah to kaisā samajhtā huuñ

    ḳhat-e-mushkīñ ko raihāñ jāntā huuñ bāġh-e-ālam meñ

    tirī chashm-e-siyah ko nargis-e-shahlā samajhtā huuñ

    barābar ġhair ke bhī martaba merā nahīñ afsos

    agarche aap kahte haiñ tujhe apnā samajhtā huuñ

    maqām-e-imtihāñ meñ dekh lenā ek din sāhab

    raqīb-e-rū-siyah Thahregā kyā itnā samajhtā huuñ

    numūd itnī kahāñ thī shā.erī meñ merī ai 'ġhāfil'

    meñ is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goyā' samajhtā huuñ

    kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun

    phaTe kapDon ko apni KHilat-e-diba samajhta hun

    jahan diwana koi apne sae se ulajhta hai

    use zulf-e-musalsal ka teri sauda samajhta hun

    main go majnun hun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se

    sawad-e-shahr hi ko KHema-e-laila samajhta hun

    hazaron bagh-e-duniya mein tamashe main ne dekhe hain

    do-rangi ko zamane ki gul-e-rana samajhta hun

    nahin mai-KHana-e-alam mein mujh sa mast-o-be-KHud hai

    ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta hun

    ata ki hai KHuda ne chashm-e-wahdat-e-bin mujhe jaise

    jise qatra samajhta tha use dariya samajhta hun

    hamein rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka

    dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta hun

    KHat-e-mushkin ko raihan jaanta hun bagh-e-alam mein

    teri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta hun

    barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos

    agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta hun

    maqam-e-imtihan mein dekh lena ek din sahab

    raqib-e-ru-siyah Thahrega kya itna samajhta hun

    numud itni kahan thi shaeri mein meri ai 'ghafil'

    mein is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goya' samajhta hun

    Source:

    Deewan-e-Ghafil (Pg. 43)

    • Author: Munawar Khan Ghafil
      • Edition: 1872
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1872
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now